Radio ne das baje shab ke khabar dee Eid ki
Aalimon ne raat bhar is news kee tarweed ki

Radio kehtaa thaa sun lo kal hamaree Eid ha
Aur aalim kehte thay yeh ghair sharyee Eid ha

Do dharon ma bat gayi thi mulk kisaari awaam
Ik taraf sab muqtadee thay ik taraf saare imaam

Beta kehta tha ke kal shaitan roza rakkhega
Baap bola tera abaa jaan roza rakhegaa….