Just another WordPress weblog
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna ha..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna ha..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa
Mujhay tu khair taira intazaaar karna ha
Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna ha
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna ha
Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna ha
tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna ha
Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz’gaar karna ha
Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna ha
This is the Blog for SMS Text Messages, Poetry, Quotes, Shayari, Quotations, Poems, Funny SMS, Birthday Messages, Jokes SMS, Romantic Messages, Love SMS, Friendship Messages, Dirty Text Messages Eid SMS Messages, Christmas Messages, Christmas Wishes, Christmas Greetings, New Year Mobile SMS Text Messages, Sad Messages, Sad SMS Poetry and Condolence Text Messages.
Leave a reply