tanha rahoon mein chalne waley manzil ka pata kahan jante hain,
ham to thokar khaney ko hi zindgi ka samaan jante hain,

tum rehney wale ho kis nager k kahan se aye mery dunia mein,
ham to koe aisi zameen na aisa asmaan jante hain,

hamry dil mein rehti hain sada se murjhaey howi umeedein,
kab bahar ati hay kia janein ham to sirf khazan jante hain,

dunia samjhti hay hamein kia kia khabar loog kia kahte hain,
ham to tery har lafz ko apne liay aakhri farman jante hain…